Beautiful Sad Poems Definition
Source(Google.com.pk)These are poems about sadness in all its varied forms. There is much sadness in the world and many reasons to be sad.
Writing a poem about your feelings is a good way to bring healing to yourself. Additionally, many people find that reading poems when they are sad is a wonderful way to find comfort and give words to their unspoken sad feelings
Bara dushwar hota ha,
Zara sa faisla karna
K jeevan ki kahani ko,
kahan say yad rakhna ha,
kahan say bhool jana ha,
Isay kitna batana ha,
Isay kitna chupana ha,
kahan ro ro k hansna ha,
Kahan hans hans k rona ha,
kahan awaz dena ha,
Kahan khamosh rehna ha,
kahan rasta badalna ha
Kahan say laot ana ha,
bara dushwar hota ha,
zara sa faisla karna,,,
Tu hawa kay hath pe chahatoun ka dia jalanay ki zid na kar,
Yeh udaas logun ka sheher ha yahan muskuranay ki zid na kar,
Main muhabbatoun ka dasa hua, mera gham hai hadd say barha hua,
Main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na kar,
Main teri ghazal to nahi hun jo, har ik kay lab per saji rahun,
Main tow aik misra-e-dard hun, mujhay gungunanay ki zid na kar,
Abhi laot aa abhi waqt ha abhi jan baki ha jism main,
Tujhay ilm hai meri jan hai tu, mujhay aazmany ki zid na kar,
No comments:
Post a Comment